May se meenaa se naa saaqee se ... dil bahaltaa hai meraa aapke aa jaane se

मय से मीना से ना साक़ी से ... दिल बहलता है मेरा आपके आ जाने से
Work
Year
Language

मय से मीना से ना साक़ी से ना पैमाने से
दिल बहलता है मेरा आपके आ जाने से

गुल से गुंचों से ना बुलबुल के गुनगुनाने से
दिल बहलता है …

ख्वाब में जन्नत का नकशा आ गया सामने
हूरों से भी दिल ना बहला हम लगे तुझे ढूंढने
जन्नत की बहारों से न परियों के मुस्कराने से
दिल बहलता है …

एक दिन मैं गई थी जौहरी बाज़ार में
तेरी आँखें याद आईं हीरों के भी हार में
मोती से हीरों से न जेवर से ना किसी खज़ाने से
दिल बहलता है …

may se mīnā se nā sāqī se nā paimāne se
dil bahaltā hai merā āpke ā jāne se

gul se guṅchoṅ se nā bulbul ke gungunāne se
dil bahaltā hai …

khvāb meṅ jannat kā nakśhā ā gayā sāmne
hūroṅ se bhī dil nā bahlā ham lage tujhe ḍhūṅḍhne
jannat kī bahāroṅ se na pariyoṅ ke muskrāne se
dil bahaltā hai …

ek din maiṅ gaī thī jauhrī bāzār meṅ
terī āṇkheṅ yād āīṅ hīroṅ ke bhī hār meṅ
motī se hīroṅ se na jevar se nā kisī khazāne se
dil bahaltā hai …