Maut too ek kaveetaa hai

मौत तू एक कवीता है
Work
Year
Language

मौत तू एक कवीता है .
मुझसे एक कवीता का वादा है मिलेगी मुझको ..

डूबती नब्ज़ों में जब दर्द को नींद आने लगे
ज़र्द सा चेहरा लिए चाँद उफ़क तक पहुंचे
दिन अभी पानी में हो रात किनारे के करीब
न अभी अंधेरा हो न उजाला हो
न रात न दिन
जिस्म जब खत्म हो और रूह को साँस आए .

मुझसे एक कवीता का वादा है मिलेगी मुझको ..

maut tū ek kavītā hai .
mujhse ek kavītā kā vādā hai milegī mujhko ..

ḍūbtī nabzoṅ meṅ jab dard ko nīṅd āne lage
zard sā chehrā lie chāṇd ufak tak pahuṅche
din abhī pānī meṅ ho rāt kināre ke karīb
na abhī aṅdherā ho na ujālā ho
na rāt na din
jism jab khatm ho aur rūh ko sāṇs āe .

mujhse ek kavītā kā vādā hai milegī mujhko ..