मौत कभी भी ... रात भर का है मेहमां अँधेरा
मौत कभी भी मिल सकती है लेकिन जीवन कल न मिलेगा
मरने वाले सोच समझ ले फिर तुझको ये पल न मिलेगा
( रात भर का है मेहमां अँधेरा
किसके रोके रुका है सवेरा ) -2
रात जितनी भी संगीन होगी
सुबह उतनी ही रंगीन होगी
ग़म न कर गर है बादल घनेरा
किसके रोके रुका है …
लब पे शिकवा न ला अश्क़ पी ले
जिस तरह भी हो कुछ देर जी ले
अब उखड़ने को है ग़म का डेरा
किसके रोके रुका है …
यूँ ही दुनिया में आ कर न जाना
सिर्फ़ आँसू बहाकर न जाना
मुसुराहट पे भी हक़ है तेरा
किसके रोके रुका है …
( आ कोई मिल के तदबीर सोचें
सुख के सपनों की ताबीर सोचें ) -2
जो तेरा है वही ग़म है मेरा
किसके रोके रुका है …
maut kabhī bhī mil saktī hai lekin jīvan kal na milegā
marne vāle soch samajh le phir tujhko ye pal na milegā
( rāt bhar kā hai mehmāṅ aṇdherā
kiske roke rukā hai saverā ) -2
rāt jitnī bhī saṅgīn hogī
subah utnī hī raṅgīn hogī
ġham na kar gar hai bādal ghanerā
kiske roke rukā hai …
lab pe śhikvā na lā aśhq pī le
jis tarah bhī ho kuchh der jī le
ab ukhaṛne ko hai ġham kā ḍerā
kiske roke rukā hai …
yūṇ hī duniyā meṅ ā kar na jānā
sirf āṇsū bahākar na jānā
musurāhaṭ pe bhī haq hai terā
kiske roke rukā hai …
( ā koī mil ke tadbīr socheṅ
sukh ke sapnoṅ kī tābīr socheṅ ) -2
jo terā hai vahī ġham hai merā
kiske roke rukā hai …