Man saajan ne har leenhaa ... jo main jaantee bisrat hain sainyaa

मन साजन ने हर लीन्हा ... जो मैं जानती बिसरत हैं सैंया
Work
Year
Language

मन साजन ने हर लीन्हा

जो मैं जानती बिसरत हैं सैंया -2
घुँघटा में आग लगा देती -2
मैं लाज के बंधन तोड़ सखी -2
पिया प्यारे को अपने मना लेती -2

( मेरे हार-सिंगार की रात गई
पियू संग उमंग मेरी आज गई ) -2
घर आए ना मोरे साँवरिया -2
मैं तो तन-मन उनपे ओ
मैं तो तन-मन उनपे लुटा देती
जो मैं जानती …

( मोहे प्रीत की रीत न भाई सखी
मैं बनके दुल्हन पछताई सखी ) -2
होती ना अगर दुनिया की शरम -2
उन्हें भेज के पतियाँ ओ
उन्हें भेज के पतियाँ बुला लेती
जो मैं जानती …

man sājan ne har līnhā

jo maiṅ jāntī bisrat haiṅ saiṅyā -2
ghuṇghṭā meṅ āg lagā detī -2
maiṅ lāj ke baṅdhan toṛ sakhī -2
piyā pyāre ko apne manā letī -2

( mere hār-siṅgār kī rāt gaī
piyū saṅg umaṅg merī āj gaī ) -2
ghar āe nā more sāṇvriyā -2
maiṅ to tan-man unpe o
maiṅ to tan-man unpe luṭā detī
jo maiṅ jāntī …

( mohe prīt kī rīt na bhāī sakhī
maiṅ banke dulhan pachhtāī sakhī ) -2
hotī nā agar duniyā kī śharam -2
unheṅ bhej ke patiyāṇ o
unheṅ bhej ke patiyāṇ bulā letī
jo maiṅ jāntī …