Man men kisee kee preet basaale

मन में किसी की प्रीत बसाले
Work
Year
Language

मन में किसी की प्रीत बसाले
ओ मतवाले ओ मतवाले
मन में किसी की प्रीत बसाले
किसी को मन का मीत बनाले
मीत बनाले, ओ मतवाले ओ मतवाले
मन में किसी की प्रीत बसाले

इस दुनियाँ में किसी का होजा
किसी को कर ले अपना
प्रीत बनाले ये जीवन को एक सुहाना सपना
एक सुहाना सपना
जीवन में ये ज्योत जगाले
ओ मतवाले ओ मतवाले
मन में किसी की प्रीत बसाले

प्रीत सताए प्रीत रुलाए
जिया में आग लगाए
जलनेवाला हँसते हँसते फिर भी जलता जाए
फिर भी जलता जाए
प्रीत के हैं अन्दाज़ निराले
ओ मतवाले ओ मतवाले
मन में किसी की प्रीत बसाले

man meṅ kisī kī prīt basāle
o matvāle o matvāle
man meṅ kisī kī prīt basāle
kisī ko man kā mīt banāle
mīt banāle, o matvāle o matvāle
man meṅ kisī kī prīt basāle

is duniyāṇ meṅ kisī kā hojā
kisī ko kar le apnā
prīt banāle ye jīvan ko ek suhānā sapnā
ek suhānā sapnā
jīvan meṅ ye jyot jagāle
o matvāle o matvāle
man meṅ kisī kī prīt basāle

prīt satāe prīt rulāe
jiyā meṅ āg lagāe
jalnevālā hṇste hṇste phir bhī jaltā jāe
phir bhī jaltā jāe
prīt ke haiṅ andāz nirāle
o matvāle o matvāle
man meṅ kisī kī prīt basāle