Man ke khazaane men maayaa hee maayaa

मन के ख़ज़ाने में माया ही माया
Work
Year
Language

मन के ख़ज़ाने में माया ही माया
जब भी तू चाहे इसे लूट ले

दिखाई न दे अन्धेरे में ताला
तू ज्योति लगन की जला ले
अगर हाथ काँपे तो हरि नाम ले कर
तू पूजा की चाबी लगा ले
डराती है क्‌यों मुझको अपनी छाया
तेरा ही धन है ये नहीं है पराया
जब भी तू चाहे …

कभी हार दाता की होती नहीं
न जाता खाली कभी लेने वाला
भरेगी तेरी न ये तृष्णा की झोली
थकेगा न वो देने वाला
उसी ने बनाई है तेरी ये काया
काया में भक्‌ति का धन है छुपाया
जब भी तू चाहे …

man ke khazāne meṅ māyā hī māyā
jab bhī tū chāhe ise lūṭ le

dikhāī na de andhere meṅ tālā
tū jyoti lagan kī jalā le
agar hāth kāṇpe to hari nām le kar
tū pūjā kī chābī lagā le
ḍarātī hai k‌yoṅ mujhko apnī chhāyā
terā hī dhan hai ye nahīṅ hai parāyā
jab bhī tū chāhe …

kabhī hār dātā kī hotī nahīṅ
na jātā khālī kabhī lene vālā
bharegī terī na ye tṛṣhṇā kī jholī
thakegā na vo dene vālā
usī ne banāī hai terī ye kāyā
kāyā meṅ bhak‌ti kā dhan hai chhupāyā
jab bhī tū chāhe …