Man dole meraa tan dole mere dil kaa gayaa qaraar

मन डोले मेरा तन डोले मेरे दिल का गया क़रार्
Work
Year
Language

(मन डोले मेरा तन डोले
मेरे दिल का गया करार रे
ये कौन बजाये बांसुरिया ) - 2

मधुर मधुर सपनों में देखी मैने राह नवेली
छोड़ चली मैं लाज का पहरा जाने कहाँ अकेली
चली रे मैं जाने कहाँ अकेली
रस घोले धुन यूँ बोले
जैसे ठंडी पड़े फुहार रे
ये कौन बजाये बांसुरिया

मन डोले मेरा तन डोले …

कदम कदम पर रंग सुनहरा ये किसने बिखराया
नागन का मन बस करने ये कौन सपेरा आया
न जाने कौन सपेरा आया
पग डोले दिल यूँ बोले
तेरा होके रहा शिकार रे
ये कौन बजाये बांसुरिया

मन डोले मेरा तन डोले
मेरे दिल का गया करार रे
ये कौन बजाये बांसुरिया

(man ḍole merā tan ḍole
mere dil kā gayā karār re
ye kaun bajāye bāṅsuriyā ) - 2

madhur madhur sapnoṅ meṅ dekhī maine rāh navelī
chhoṛ chalī maiṅ lāj kā pahrā jāne kahāṇ akelī
chalī re maiṅ jāne kahāṇ akelī
ras ghole dhun yūṇ bole
jaise ṭhaṅḍī paṛe phuhār re
ye kaun bajāye bāṅsuriyā

man ḍole merā tan ḍole …

kadam kadam par raṅg sunahrā ye kisne bikhrāyā
nāgan kā man bas karne ye kaun saperā āyā
na jāne kaun saperā āyā
pag ḍole dil yūṇ bole
terā hoke rahā śhikār re
ye kaun bajāye bāṅsuriyā

man ḍole merā tan ḍole
mere dil kā gayā karār re
ye kaun bajāye bāṅsuriyā