Majboor kee fariyaad hai

मजबूर की फ़रियाद है
Year
Language

ऐ ख़ुदा
मजबूर की फ़रियाद है
तेरी दुनिया में कोई बरबाद है
नाख़ुदा बिछड़ा ख़ुदा के सामने
जायें हम अब किसका दामन थामने
भीख दे बन कर सवाली आये हैं
तेरे दर पर हाथ ख़ाली आये हैं
किसलिये तेरे करम में देर है
फेर दे तक़दीर का गर फेर है -2

ai khudā
majbūr kī fariyād hai
terī duniyā meṅ koī barbād hai
nākhudā bichhaṛā khudā ke sāmne
jāyeṅ ham ab kiskā dāman thāmne
bhīkh de ban kar savālī āye haiṅ
tere dar par hāth khālī āye haiṅ
kisliye tere karam meṅ der hai
pher de taqdīr kā gar pher hai -2