Main yahaan too kahaan meraa dil tujhe pukaare

मैं यहाँ तू कहाँ मेरा दिल तुझे पुकारे
Year
Language

र: मैं यहाँ तू कहाँ
मेरा दिल तुझे पुकारे
ल: झुकी-झुकी है नज़र झूमे-झूमे रे जिगर
कोई क्‌यों हमें पुकारे
र: मैं यहाँ तू कहाँ …

ल: खिल रही चाँदनी रात है
जैसे चाँदी की बरसात है
र: आज कह दो न दिल खोल के
जो दिल में छुपी बात है
मैं यहाँ तू कहाँ …

ल: सच कह दूँ तुम्हें ओ बलम
बिछड़ेंगे नहीं तुम-हम -2
र: इक पल भी नहीं दूर हों
चाँद-तारों की हमको क़सम
र: मैं यहाँ तू कहाँ …

ra: maiṅ yahāṇ tū kahāṇ
merā dil tujhe pukāre
la: jhukī-jhukī hai nazar jhūme-jhūme re jigar
koī k‌yoṅ hameṅ pukāre
ra: maiṅ yahāṇ tū kahāṇ …

la: khil rahī chāṇdnī rāt hai
jaise chāṇdī kī barsāt hai
ra: āj kah do na dil khol ke
jo dil meṅ chhupī bāt hai
maiṅ yahāṇ tū kahāṇ …

la: sach kah dūṇ tumheṅ o balam
bichhaṛeṅge nahīṅ tum-ham -2
ra: ik pal bhī nahīṅ dūr hoṅ
chāṇd-tāroṅ kī hamko qasam
ra: maiṅ yahāṇ tū kahāṇ …