Main to tum sang nain milaa ke haar gaee re

मैं तो तुम संग नैन मिला के हार गई रे
Work
Year
Language

मैं तो तुम संग नैन मिला के हार गई सजना

क्यों झूठे से प्रीत लगाई
क्यों छलिये को मीत बनाया
क्यों आँधी में दीप जलाया
मैं तो तुम संग ...

सपनें में जो बाग लगाए
नींद खुली तो वीराने थे
हम भी कितने दीवाने थे
मैं तो तुम संग ...

ना मिलती ये बैरन अँखियाँ
चैन न जाता, दिल भी न रोता
काश किसी से प्यार न होता
मैं तो तुम संग ...

maiṅ to tum saṅg nain milā ke hār gaī sajnā

kyoṅ jhūṭhe se prīt lagāī
kyoṅ chhaliye ko mīt banāyā
kyoṅ āṇdhī meṅ dīp jalāyā
maiṅ to tum saṅg ...

sapneṅ meṅ jo bāg lagāe
nīṅd khulī to vīrāne the
ham bhī kitne dīvāne the
maiṅ to tum saṅg ...

nā miltī ye bairan aṇkhiyāṇ
chain na jātā, dil bhī na rotā
kāśh kisī se pyār na hotā
maiṅ to tum saṅg ...