Main teree tamannaa kartaa hoon

मैं तेरी तमन्ना करता हूँ
Work
Year
Language

मु: मैं तेरी तमन्ना करता हूँ
तक़दीर से लेकिन डरता हूँ
म: ( ओ जानियाँ ) -2 मेरा दिल मुझको दे
मु: मैं तेरी तमन्ना …

मुझे तुझसे नहीं है कोई गिला
मिलना था मुझे जो ग़म वो मिला
तक़दीर बनाने वाले से तक़दीर का शिक़वा करता हूँ
म: ओ जानियाँ …

मु: पत्थर न समझ इन्सान हूँ मैं
इक ठहरा हुआ तूफ़ान हूँ मैं
मुझे जान से अपनी प्यार नहीं मैं आन पे अपनी मरता हूँ
म: ओ जानियाँ …
मु: मैं तेरी तमन्ना …

mu: maiṅ terī tamannā kartā hūṇ
taqdīr se lekin ḍartā hūṇ
ma: ( o jāniyāṇ ) -2 merā dil mujhko de
mu: maiṅ terī tamannā …

mujhe tujhse nahīṅ hai koī gilā
milnā thā mujhe jo ġham vo milā
taqdīr banāne vāle se taqdīr kā śhiqvā kartā hūṇ
ma: o jāniyāṇ …

mu: patthar na samajh insān hūṇ maiṅ
ik ṭhahrā huā tūfān hūṇ maiṅ
mujhe jān se apnī pyār nahīṅ maiṅ ān pe apnī martā hūṇ
ma: o jāniyāṇ …
mu: maiṅ terī tamannā …