Main shaayar badnaam, main chalaa, main chalaa

मैं शायर बदनाम, मैं चला, मैं चला
Year
Language

मैं शायर बदनाम मैं चला, मैं चला
महफ़िल से नाकाम मैं चला, मैं चला

मेरे घर से तुमको कुछ सामान मिलेगा
दीवाने शायर का एक दीवान मिलेगा
और एक चीज़ मिलेगी, टूटा खाली जाम

शोलों पे चलना था, काँटों पे सोना था
और अभी जी भर के किस्मत पे रोना था
जाने ऐसे कितने बाकी छोड़ के काम

रस्ता रोक रही है, थोड़ी जान है बाकी
जाने टूटे दिल में क्या अरमान है बाकी
जाने भी दे ऐ दिल, सबको मेरा सलाम

maiṅ śhāyar badnām maiṅ chalā, maiṅ chalā
mahafil se nākām maiṅ chalā, maiṅ chalā

mere ghar se tumko kuchh sāmān milegā
dīvāne śhāyar kā ek dīvān milegā
aur ek chīz milegī, ṭūṭā khālī jām

śholoṅ pe chalnā thā, kāṇṭoṅ pe sonā thā
aur abhī jī bhar ke kismat pe ronā thā
jāne aise kitne bākī chhoṛ ke kām

rastā rok rahī hai, thoṛī jān hai bākī
jāne ṭūṭe dil meṅ kyā armān hai bākī
jāne bhī de ai dil, sabko merā salām