Main rangeelaa pyaar kaa raahee, door meree manzil

मैं रंगीला प्यार का राही, दूर मेरी मंज़िल
Year
Language

मैं रंगीला प्यार का राही, दूर मेरी मंज़िल
शोख नज़र का तीर तूने मारा, दिल हुआ घायल

तेरे ही संभाल के रखा था प्यार भरा ये दिल
तेरे इशारों पे चलता रहेगा, ओ मेरे कातिल

तेरी राह पर जो मैं रुक गया, मुझे रही ना अपनी ख़बर
मेरे साथ चल मेरे हमसफ़र, अब तेरी मेरी एक डगर

जो आज है वो कभी न था, ये चमन पे उजला निखार
ये रंग है मेरे प्यार का जो खिला है बनके बहार

maiṅ raṅgīlā pyār kā rāhī, dūr merī maṅzil
śhokh nazar kā tīr tūne mārā, dil huā ghāyal

tere hī saṅbhāl ke rakhā thā pyār bharā ye dil
tere iśhāroṅ pe chaltā rahegā, o mere kātil

terī rāh par jo maiṅ ruk gayā, mujhe rahī nā apnī khabar
mere sāth chal mere hamasafar, ab terī merī ek ḍagar

jo āj hai vo kabhī na thā, ye chaman pe ujlā nikhār
ye raṅg hai mere pyār kā jo khilā hai banke bahār