Main raahee bhatakne vaalaa hoon

मैं राही भटकने वाला हूँ
Work
Year
Language

मैं राही भटकने वाला हूँ
कोई क्‌या जाने मतवाला हूँ

ये मस्त घटा मेरी चादर है
ये धरती मेरा बिस्तर है
मैं रात में दिन का उजाला हूँ
कोई क्‌या जाने …

ये बिजली रात दिखाती है
मंज़िल पे मुझे पहुँचाती है
मैं तूफ़ानों का पाला हूँ
कोई क्‌या जाने …

मैं मचलूँ तो इक आग भी हूँ
मैं झूमूँ तो इक राग भी हूँ
दुनिया से दूर निराला हूँ
कोई क्‌या जाने …

maiṅ rāhī bhaṭakne vālā hūṇ
koī k‌yā jāne matvālā hūṇ

ye mast ghaṭā merī chādar hai
ye dhartī merā bistar hai
maiṅ rāt meṅ din kā ujālā hūṇ
koī k‌yā jāne …

ye bijlī rāt dikhātī hai
maṅzil pe mujhe pahuṇchātī hai
maiṅ tūfānoṅ kā pālā hūṇ
koī k‌yā jāne …

maiṅ machlūṇ to ik āg bhī hūṇ
maiṅ jhūmūṇ to ik rāg bhī hūṇ
duniyā se dūr nirālā hūṇ
koī k‌yā jāne …