Main piyaa teree too maane yaa naa maane

मैं पिया तेरी तू माने या ना माने
Year
Language

मैं पिया तेरी तू माने या ना माने
दुनिया जाने, तू जाने या ना जाने
काहे को बजाये तू मीठी मीठी ताने

मुरली की लय ने दिल मेरा छिना
तार जगाये दिल के तार जगाये
राग बिखेरे जब तेरे दिल ने
राग उठाये मैने राग उठाये
मिटने ना दूँगी ये प्यार के तराने

प्रीत की डोरी तुम संग बाँधी
तुम संग बाँधी सैय्या तुम संग बाँधी
बुझने ना दूँगी प्रीत का दीपक
कितनी भी आये सैय्या दुनिया की आँधी
मैं नहीं बदली, ये बदले जमाने

maiṅ piyā terī tū māne yā nā māne
duniyā jāne, tū jāne yā nā jāne
kāhe ko bajāye tū mīṭhī mīṭhī tāne

murlī kī lay ne dil merā chhinā
tār jagāye dil ke tār jagāye
rāg bikhere jab tere dil ne
rāg uṭhāye maine rāg uṭhāye
miṭne nā dūṇgī ye pyār ke tarāne

prīt kī ḍorī tum saṅg bāṇdhī
tum saṅg bāṇdhī saiyyā tum saṅg bāṇdhī
bujhne nā dūṇgī prīt kā dīpak
kitnī bhī āye saiyyā duniyā kī āṇdhī
maiṅ nahīṅ badlī, ye badle jamāne