Main ne tere liye hee saat rang ke sapne chune

मैं ने तेरे लिये ही सात रंग के सपने चुने
Work
Year
Language

मैं ने तेरे लिये ही सात रंग के सपने चुने
सपने सुरीले सपने
कुछ हँस के, कुछ ग़म के
तेरी आँखों के साए चुराए
रसीली यादों ने
मैं ने तेरे लिये …

छोटी बातें
छोटी छोटी बातों की है यादें बड़ी
भूले नहीं बीती हुई एक छोटी घड़ी
जनम जनम से आँखें बिछाईं
तेरे लिये इन राहों में
मैं ने तेरे लिये …

भोले भाले
भोले भाले दिल को बहलाते रहे
तन्हाई में तेरे ख़यालों को सजाते रहे
कभी कभी तो आवाज़ देकर
मुझको जगाया ख़्वाबों ने
मैं ने तेरे लिये …

रूठी रातें
रूठी हुई रातों को जगाया कभी
तेरे लिये बीती सुबह को बुलाया कभी
तेरे बिना भी तेरे लिये ही
दिये जलाये रातों में
मैं ने तेरे लिये …

maiṅ ne tere liye hī sāt raṅg ke sapne chune
sapne surīle sapne
kuchh hṇs ke, kuchh ġham ke
terī āṇkhoṅ ke sāe churāe
rasīlī yādoṅ ne
maiṅ ne tere liye …

chhoṭī bāteṅ
chhoṭī chhoṭī bātoṅ kī hai yādeṅ baṛī
bhūle nahīṅ bītī huī ek chhoṭī ghaṛī
janam janam se āṇkheṅ bichhāīṅ
tere liye in rāhoṅ meṅ
maiṅ ne tere liye …

bhole bhāle
bhole bhāle dil ko bahlāte rahe
tanhāī meṅ tere khayāloṅ ko sajāte rahe
kabhī kabhī to āvāz dekar
mujhko jagāyā khvāboṅ ne
maiṅ ne tere liye …

rūṭhī rāteṅ
rūṭhī huī rātoṅ ko jagāyā kabhī
tere liye bītī subah ko bulāyā kabhī
tere binā bhī tere liye hī
diye jalāye rātoṅ meṅ
maiṅ ne tere liye …