मैं ने चाँद और सितारों की तमन्ना की थी
(मैं ने चाँद और सितारों की तमन्ना की थी
मुझको रातों की सियाही के सिवा कुछ न मिला ) - 2
मैं ने चाँद सितारों …
मैं वो नग़मा हूँ जिसे प्यार की महफ़िल न मिली
वो मुसाफ़िर हूँ जिसे कोई भी मन्ज़िल न मिली
ज़ख्म पाएं हैं बहारों की तमन्ना की थी
मैं ने चाँद सितारों …
किसी गेसू किसी आँचल का सहारा भी नहीं
रास्ते में कोई धुँधला सा सितारा भी नहीं
मेरी नज़रों ने नज़ारों की तमन्ना की थी
मैं ने चाँद सितारों …
मेरी राहों से जुदा हो गई राहें उनकी
आज बदली नज़र आती हैं निगाहें उनकी
जिससे इस दिल ने सहारों की तमन्ना की थी
मैं ने चाँद सितारों …
प्यार माँगा तो सिसकते हुए अरमान मिले
चैन चाहा तो उमड़ते हुए तूफ़ान मिले
डूबते दिल ने किनारों की तमन्ना की थी
मैं ने चाँद सितारों …
दिल में नाकाम उम्मिदों के बसेरे पाये
रोशनी लेने को निकला तो अंधेरे पाये
रंग और नूर के धारों की तमन्ना की थी
मैं ने चाँद और सितारों …
(maiṅ ne chāṇd aur sitāroṅ kī tamannā kī thī
mujhko rātoṅ kī siyāhī ke sivā kuchh na milā ) - 2
maiṅ ne chāṇd sitāroṅ …
maiṅ vo naġhmā hūṇ jise pyār kī mahafil na milī
vo musāfir hūṇ jise koī bhī manzil na milī
zakhm pāeṅ haiṅ bahāroṅ kī tamannā kī thī
maiṅ ne chāṇd sitāroṅ …
kisī gesū kisī āṇchal kā sahārā bhī nahīṅ
rāste meṅ koī dhuṇdhlā sā sitārā bhī nahīṅ
merī nazroṅ ne nazāroṅ kī tamannā kī thī
maiṅ ne chāṇd sitāroṅ …
merī rāhoṅ se judā ho gaī rāheṅ unkī
āj badlī nazar ātī haiṅ nigāheṅ unkī
jisse is dil ne sahāroṅ kī tamannā kī thī
maiṅ ne chāṇd sitāroṅ …
pyār māṇgā to sisakte hue armān mile
chain chāhā to umaṛte hue tūfān mile
ḍūbte dil ne kināroṅ kī tamannā kī thī
maiṅ ne chāṇd sitāroṅ …
dil meṅ nākām ummidoṅ ke basere pāye
rośhnī lene ko niklā to aṅdhere pāye
raṅg aur nūr ke dhāroṅ kī tamannā kī thī
maiṅ ne chāṇd aur sitāroṅ …