मैं खो गया यहीं कहीं
जवाँ है रुत समाँ हसीं
कहाँ है दिल किसे पता
कहाँ हूँ मैं ख़बर नहीं
मैं खो गया …
यूँ किसी से हुआ सामना
दिल ने आवाज़ दी थामना
जाने क्या कह गई ओ निगाह-ए-सजनी
मैं खो गया …
हाल-ए-दिल कह दूँ झूम के
प्यार से ज़ुल्फ़ों को चूम के
सोचता हूँ अगर वो ख़फ़ा न हो कहीं
मैं खो गया …
धुन जो रही प्यार की
हो रहेगी मेरी वो कभी
( मेरे दिल ) -2 ठहर जा मचल नहीं
मैं खो गया …
maiṅ kho gayā yahīṅ kahīṅ
javāṇ hai rut samāṇ hasīṅ
kahāṇ hai dil kise patā
kahāṇ hūṇ maiṅ khabar nahīṅ
maiṅ kho gayā …
yūṇ kisī se huā sāmnā
dil ne āvāz dī thāmnā
jāne kyā kah gaī o nigāh-e-sajnī
maiṅ kho gayā …
hāl-e-dil kah dūṇ jhūm ke
pyār se zulfoṅ ko chūm ke
sochtā hūṇ agar vo khafā na ho kahīṅ
maiṅ kho gayā …
dhun jo rahī pyār kī
ho rahegī merī vo kabhī
( mere dil ) -2 ṭhahar jā machal nahīṅ
maiṅ kho gayā …