Main hoon mast madaaree

मैं हूँ मस्त मदारी
Work
Year
Language

मैं हूँ मस्त मदारी -2
बिना तीर दिल घायल कर दूँ ऐसा मैं हूँ शिकारी
हो मैं हूँ मस्त …

खेल-खेल में मेल हो दिल का ऐसा खेल दिखाऊँ
नज़रों की मैं डोर फेंक कर तेरा दिल उलझाऊँ
पागल को पागल पहचाने जाने नहीं अनाड़ी
हो मैं हूँ मस्त …

छिपने वाले छिपकर आते छिपकर करें इशारा
लेकिन दर्द छिपाए कैसे तीर-ए-नज़र का मारा
एक अदा पे हम करते क़र्बान ये दुनिया सारी
हो मैं हूँ मस्त …

maiṅ hūṇ mast madārī -2
binā tīr dil ghāyal kar dūṇ aisā maiṅ hūṇ śhikārī
ho maiṅ hūṇ mast …

khel-khel meṅ mel ho dil kā aisā khel dikhāūṇ
nazroṅ kī maiṅ ḍor pheṅk kar terā dil uljhāūṇ
pāgal ko pāgal pahchāne jāne nahīṅ anāṛī
ho maiṅ hūṇ mast …

chhipne vāle chhipkar āte chhipkar kareṅ iśhārā
lekin dard chhipāe kaise tīr-e-nazar kā mārā
ek adā pe ham karte qarbān ye duniyā sārī
ho maiṅ hūṇ mast …