Main ek sadee se baithee hoon

मैं एक सदी से बैठी हूँ
Work
Year
Language

मैं एक सदी से बैठी हूँ
इस राह से कोई गुज़रा नहीं
कुछ चाँद के रथ तो गुज़रे थे
पर चाँद से कोई उतरा नहीं
मैं एक सदी से बैठी हूँ …

दिन रात के दोनो पहिये भी
कुछ धूल उड़ा कर बीत गये
मैं मन आँगन में बैठी रही
चौखट से कोई गुज़रा नहीं
मैं एक सदी से बैठी हूँ …

आकाश बड़ा बूढ़ा बाबा
सब को कुछ बाँट के जाता है
आँखों को निचोड़ा मैं ने बहुत
पर कोई आँसू उतरा नहीं
मैं एक सदी से बैठी हूँ …

maiṅ ek sadī se baiṭhī hūṇ
is rāh se koī guzrā nahīṅ
kuchh chāṇd ke rath to guzre the
par chāṇd se koī utrā nahīṅ
maiṅ ek sadī se baiṭhī hūṇ …

din rāt ke dono pahiye bhī
kuchh dhūl uṛā kar bīt gaye
maiṅ man āṇgan meṅ baiṭhī rahī
chaukhaṭ se koī guzrā nahīṅ
maiṅ ek sadī se baiṭhī hūṇ …

ākāśh baṛā būṛhā bābā
sab ko kuchh bāṇṭ ke jātā hai
āṇkhoṅ ko nichoṛā maiṅ ne bahut
par koī āṇsū utrā nahīṅ
maiṅ ek sadī se baiṭhī hūṇ …