मैं एक राजा हूँ तू इक रानी है
(मैं एक राजा हूँ
तू इक रानी है ) - 2
प्रेम नगर की ये इक सुंदर
प्रेम कहानी है
मैं इक राजा हूँ …
क्या होती है प्रेम कहानी
ये भी तू नादान ना जानी
कितनी प्यारी प्यारी तेरी
ये नादानी है
मैं इक राजा हूँ…
प्रेमी भंवरे रंगरलियों के
क्या कहते हैं इन कलियों से
मैं तुझको कैसे समझाऊं
तू दीवानी है
मैं इक राजा हूँ…
मन मेरा इक महल हो जैसे
तू इसमें रहती है ऐसे
जैसे सीप में मोती है
सागर में पानी है
मैं इक राजा हूँ…
(maiṅ ek rājā hūṇ
tū ik rānī hai ) - 2
prem nagar kī ye ik suṅdar
prem kahānī hai
maiṅ ik rājā hūṇ …
kyā hotī hai prem kahānī
ye bhī tū nādān nā jānī
kitnī pyārī pyārī terī
ye nādānī hai
maiṅ ik rājā hūṇ…
premī bhaṅvre raṅgarliyoṅ ke
kyā kahte haiṅ in kaliyoṅ se
maiṅ tujhko kaise samjhāūṅ
tū dīvānī hai
maiṅ ik rājā hūṇ…
man merā ik mahal ho jaise
tū ismeṅ rahtī hai aise
jaise sīp meṅ motī hai
sāgar meṅ pānī hai
maiṅ ik rājā hūṇ…