Main duniyaa bhulaa doongaa, teree chaahat men

मैं दुनिया भुला दूँगा, तेरी चाहत में
Work
Year
Language

(मैं दुनिया भुला दूँगा, तेरी चाहत में) - 2
ओ दुश्मन ज़माना, मुझे न भुलाना
मैं खुद को मिटा दूँगा तेरी चाहत में

(मैं दुनिया भुला दूँगी, तेरी चाहत में) - 2
तेरा साथ छूटा, ये वादा जो टूटा
मैं खुद को मिटा दूँगी, तेरी चाहत में
मैं दुनिया भुला दूँगा …

मेरी साँसें, तेरी ख़ुशबू
मेरे दिल में, तेरी धड़कन
मेरी महफ़िल, तेरी बातें
मेरी आँखें, तेरे दरपण
(बिन तेरे कुछ भी नहीं मैं) - 2
मैं हर ग़म उठा लूँगी …
मैं दुनिया भुला दूँगा, तेरी चाहत में

सीने से, लग जा तू, मैं हूँ तेरा, दीवाना
मुझे तुझसे, मिलने से, रोकेगा, क्‌या ज़माना
(चोड़ूँगा न साथ तेरा) - 2
मैं सब कुछ लुटा दूँगा …

(maiṅ duniyā bhulā dūṇgā, terī chāhat meṅ) - 2
o duśhman zamānā, mujhe na bhulānā
maiṅ khud ko miṭā dūṇgā terī chāhat meṅ

(maiṅ duniyā bhulā dūṇgī, terī chāhat meṅ) - 2
terā sāth chhūṭā, ye vādā jo ṭūṭā
maiṅ khud ko miṭā dūṇgī, terī chāhat meṅ
maiṅ duniyā bhulā dūṇgā …

merī sāṇseṅ, terī khuśhbū
mere dil meṅ, terī dhaṛkan
merī mahafil, terī bāteṅ
merī āṇkheṅ, tere darpaṇ
(bin tere kuchh bhī nahīṅ maiṅ) - 2
maiṅ har ġham uṭhā lūṇgī …
maiṅ duniyā bhulā dūṇgā, terī chāhat meṅ

sīne se, lag jā tū, maiṅ hūṇ terā, dīvānā
mujhe tujhse, milne se, rokegā, k‌yā zamānā
(choṛūṇgā na sāth terā) - 2
maiṅ sab kuchh luṭā dūṇgā …