Main dekhoon jis or sakhee ree, saamne mere saanvriyaa

मैं देखूँ जिस ओर सखी री, सामने मेरे साँवरिया
Work
Year
Language

मैं देखूँ जिस ओर सखी री, सामने मेरे साँवरिया

प्रेम ने जोगन मुझ को बनाया
तन को फूँका, मन को जलाया
प्रेम के दुख में डूब गया दिल जैसे जल में गागरिया

रो रो कर हर दुःख सहना है
दुःख सह सह कर चूप रहना है
कैसे बताऊँ, कैसे बिछड़ी पी के मुख से बाँसुरिया

दुनिया कहती मुझ को दीवानी
कोई ना समझे प्रेम की बानी
साजन साजन रटते रटते, अब तो हो गयी बाँवरिया

maiṅ dekhūṇ jis or sakhī rī, sāmne mere sāṇvriyā

prem ne jogan mujh ko banāyā
tan ko phūṇkā, man ko jalāyā
prem ke dukh meṅ ḍūb gayā dil jaise jal meṅ gāgriyā

ro ro kar har duḥakh sahnā hai
duḥakh sah sah kar chūp rahnā hai
kaise batāūṇ, kaise bichhaṛī pī ke mukh se bāṇsuriyā

duniyā kahtī mujh ko dīvānī
koī nā samjhe prem kī bānī
sājan sājan raṭte raṭte, ab to ho gayī bāṇvriyā