Main chalee main chalee, dekho pyaar kee galee

मैं चली मैं चली, देखो प्यार की गली
Work
Year
Language

मैं चली मैं चली, देखो प्यार की गली
मुझे रोके ना कोई, मैं चली मैं चली
ना ना ना मेरी जां, देखो जाना ना वहाँ
कोई प्यार का लुटेरा, लूटे ना मेरी जां

ये फ़िज़ा, ये हवा, ये नज़ारे ये समा
अब प्यार ना हुआ तो फिर कब होगा
कोई खेल तो नही, ये हैं प्यार मेरी जां
तुझे पता भी ना चलेगा ये जब होगा

हैं दीवानी ये जवानी कोई समझाये क्या
कब रोकने से रुकते हैं दीवाने
तू हैं अभी नादां जरा सोच मेरी जां
रोज आते नहीं दिन ऐसे मस्ताने

कही आँख ना मिली, कही दिल ना लगा
तो प्यार का ज़माना किस काम आया
हो ये रुत ये घटा बोलो सोचेगी क्या
जो किसीका ना होठों पे नाम आया

maiṅ chalī maiṅ chalī, dekho pyār kī galī
mujhe roke nā koī, maiṅ chalī maiṅ chalī
nā nā nā merī jāṅ, dekho jānā nā vahāṇ
koī pyār kā luṭerā, lūṭe nā merī jāṅ

ye fizā, ye havā, ye nazāre ye samā
ab pyār nā huā to phir kab hogā
koī khel to nahī, ye haiṅ pyār merī jāṅ
tujhe patā bhī nā chalegā ye jab hogā

haiṅ dīvānī ye javānī koī samjhāye kyā
kab rokne se rukte haiṅ dīvāne
tū haiṅ abhī nādāṅ jarā soch merī jāṅ
roj āte nahīṅ din aise mastāne

kahī āṇkh nā milī, kahī dil nā lagā
to pyār kā zamānā kis kām āyā
ho ye rut ye ghaṭā bolo sochegī kyā
jo kisīkā nā hoṭhoṅ pe nām āyā