Mahlon kaa raajaa milaa ke raanee betee raaj karegee

महलों का राजा मिला के रानी बेटी राज करेगी
Year
Language

महलों का राजा मिला के रानी बेटी राज करेगी
खुशी खुशी कर दो बिदा तुम्हारी बेटी राज करेगी

गलियों-गलियों धूम मचेगी
काँधे-काँधे डोली चलेगी
डोली में डोलेगा जिया
के रानी बेटी राज करेगी

जिस घर जाए स्वर्ग बना दे
दोनों कुल की लाज निभा दे
यही बाबुल जी देंगे दुआ
के रानी बेटी राज करेगी

बेटी तो है धन ही पराया
पास अपने कोई कब रख पाया
भारी करना न अपना जिया
तुम्हारी बेटी राज करेगी

mahloṅ kā rājā milā ke rānī beṭī rāj karegī
khuśhī khuśhī kar do bidā tumhārī beṭī rāj karegī

galiyoṅ-galiyoṅ dhūm machegī
kāṇdhe-kāṇdhe ḍolī chalegī
ḍolī meṅ ḍolegā jiyā
ke rānī beṭī rāj karegī

jis ghar jāe svarg banā de
donoṅ kul kī lāj nibhā de
yahī bābul jī deṅge duā
ke rānī beṭī rāj karegī

beṭī to hai dhan hī parāyā
pās apne koī kab rakh pāyā
bhārī karnā na apnā jiyā
tumhārī beṭī rāj karegī