महबूब मेरे ... तू है तो दुनिया कितनी हसीं है
मु: महबूब मेरे महबूब मेरे -2
तू है तो दुनिया कितनी हसीं है
जो तू नहीं तो कुछ भी नहीं है
ल: महबूब मेरे महबूब मेरे
तू है तो दुनिया कितनी हसीं है
जो तू नहीं तो कुछ भी नहीं है
महबूब मेरे …
मु: तू हो तो बढ़ जाती है क़ीमत मौसम की
ये जो तेरी आँखें हैं शोला शबनम सी
यहीं मरना भी है मुझको मुझे जीना भी यहीं है
महबूब मेरे …
ल: अरमाँ किसको जन्नत की रंगीं गलियों का
मुझको तेरा दामन है बिस्तर कलियों का
जहाँ पर हैं तेरी बाँहें मेरी जन्नत भी वहीं है
महबूब मेरे …
मु: रख दे मुझको तू अपना दीवाना कर के
ल: नज़दीक आजा फिर देखूँ तुझको जी भर के
मु: मेरे जैसे होंगे लाखों कोई भी तुझसा नहीं है
महबूब मेरे …
ल: हो महबूब मेरे …
दो: महबूब मेरे …
mu: mahbūb mere mahbūb mere -2
tū hai to duniyā kitnī hasīṅ hai
jo tū nahīṅ to kuchh bhī nahīṅ hai
la: mahbūb mere mahbūb mere
tū hai to duniyā kitnī hasīṅ hai
jo tū nahīṅ to kuchh bhī nahīṅ hai
mahbūb mere …
mu: tū ho to baṛh jātī hai qīmat mausam kī
ye jo terī āṇkheṅ haiṅ śholā śhabnam sī
yahīṅ marnā bhī hai mujhko mujhe jīnā bhī yahīṅ hai
mahbūb mere …
la: armāṇ kisko jannat kī raṅgīṅ galiyoṅ kā
mujhko terā dāman hai bistar kaliyoṅ kā
jahāṇ par haiṅ terī bāṇheṅ merī jannat bhī vahīṅ hai
mahbūb mere …
mu: rakh de mujhko tū apnā dīvānā kar ke
la: nazdīk ājā phir dekhūṇ tujhko jī bhar ke
mu: mere jaise hoṅge lākhoṅ koī bhī tujhsā nahīṅ hai
mahbūb mere …
la: ho mahbūb mere …
do: mahbūb mere …