Maataa o maataa

माता ओ माता
Year
Language

माता ओ माता - जो तू आज होती
मुझे यूँ बिलखता अगर देख लेती
तेरा दिल टूट जाता
माता ओ माता

मुझे चूम कर तूने एक दिन कहा था
मेरे लाडले तू तो राजा बनेगा
बेआस, बेघर मैं फिरता हूँ दर-दर
मुझे यूँ भटकता अगर देख लेती
तेरा दिल टूट जाता-
माता ओ माता

इक रात जब नींद मुझको न आई
तूने वो परियों की लोरी सुनाई
तो सपने जगे, नींद पल भर में आई
जग सो रहा है मैं जागूं अकेला
मुझे यूँ तड़पता अगर देख लेती
तेरा दिल टूट जाता
माता ओ माता

mātā o mātā - jo tū āj hotī
mujhe yūṇ bilakhtā agar dekh letī
terā dil ṭūṭ jātā
mātā o mātā

mujhe chūm kar tūne ek din kahā thā
mere lāḍle tū to rājā banegā
beās, beghar maiṅ phirtā hūṇ dar-dar
mujhe yūṇ bhaṭaktā agar dekh letī
terā dil ṭūṭ jātā-
mātā o mātā

ik rāt jab nīṅd mujhko na āī
tūne vo pariyoṅ kī lorī sunāī
to sapne jage, nīṅd pal bhar meṅ āī
jag so rahā hai maiṅ jāgūṅ akelā
mujhe yūṇ taṛaptā agar dekh letī
terā dil ṭūṭ jātā
mātā o mātā