Maang ke saath tumhaaraa maine maang liyaa sansaar

माँग के साथ तुम्हारा मैने माँग लिया संसार
Work
Year
Language

माँग के साथ तुम्हारा, मैने माँग लिया संसार

दिल कहे दिलदार मिला, हम कहे हमें प्यार मिला
प्यार मिला, हमें यार मिला, एक नया संसार मिला
आस मिली, अरमान मिला, जीने का सामान मिला
मिल गया एक सहारा

दिल जवान और रुत हसीं, चल यूँ ही चल दे कहीं
तू चाहे ले चल कहीं, तुझ पे है मुझ को यकीं
जान भी तू है दिल भी तू ही, राह भी तू मंज़िल भी तू ही
और तू ही आस का तारा

māṇg ke sāth tumhārā, maine māṇg liyā saṅsār

dil kahe dildār milā, ham kahe hameṅ pyār milā
pyār milā, hameṅ yār milā, ek nayā saṅsār milā
ās milī, armān milā, jīne kā sāmān milā
mil gayā ek sahārā

dil javān aur rut hasīṅ, chal yūṇ hī chal de kahīṅ
tū chāhe le chal kahīṅ, tujh pe hai mujh ko yakīṅ
jān bhī tū hai dil bhī tū hī, rāh bhī tū maṅzil bhī tū hī
aur tū hī ās kā tārā