Loote koee man kaa nagar, banke meraa saathee

लूटे कोई मन का नगर, बनके मेरा साथी
Work
Year
Language

लुटे कोई मन का नगर बनके मेरा साथी
कौन है वो, अपनों में कभी ऐसा कहीं होता है
ये तो बड़ा धोखा है

यहीं पे कहीं है मेरे मन का चोर
नजर पड़े तो बैय्या दूँ मरोड़
जाने दो, जैसे तुम प्यारे हो
वो भी मुझे प्यारा है, जीने का सहारा है
देखो जी, तुम्हारी यही बतियाँ
मुझको हैं तड़पाती

रोग मेरे जी का, मेरे जी का चैन
साँवला सा मुखडा, उसपे कारे नैन
ऐसे को रोके अब कौन भला
दिल से जो प्यारी है, सजनी हमारी है
का करूँ मैं बिन उसके रह भी नहीं पाती

luṭe koī man kā nagar banke merā sāthī
kaun hai vo, apnoṅ meṅ kabhī aisā kahīṅ hotā hai
ye to baṛā dhokhā hai

yahīṅ pe kahīṅ hai mere man kā chor
najar paṛe to baiyyā dūṇ maroṛ
jāne do, jaise tum pyāre ho
vo bhī mujhe pyārā hai, jīne kā sahārā hai
dekho jī, tumhārī yahī batiyāṇ
mujhko haiṅ taṛpātī

rog mere jī kā, mere jī kā chain
sāṇvlā sā mukhḍā, uspe kāre nain
aise ko roke ab kaun bhalā
dil se jo pyārī hai, sajnī hamārī hai
kā karūṇ maiṅ bin uske rah bhī nahīṅ pātī