लोग कहते हैं कि तुझसे किनारा कर लें
लोग कहते हैं कि तुझसे किनारा कर लें
तुम जो कह दो तो सितम ये भी गवारा कर लें
लोग कहते हैं …
तुमने जिस हाल-ए-परेशाँ से निकाला था हमें
आसरा दे के मोहब्बत का संभाला था हमें
सोचते हैं कि वही हाल दोबारा कर लें
तुम जो कह दो तो …
यूँ भी अब तुमसे मुलाक़ात नहीं होने की
मिल भी जाओ तो कोई बात नहीं होने की
आख़री बार बस अब ज़िक्र तुम्हारा कर लें
तुम जो कह दो तो …
आख़री बार ख़्यालों में बुला लें तुमको
आख़री बार कलेजे से लगा लें तुमको
और फिर अपने तड़पने का नज़ारा कर लें
तुम जो कह दो तो …
log kahte haiṅ ki tujhse kinārā kar leṅ
tum jo kah do to sitam ye bhī gavārā kar leṅ
log kahte haiṅ …
tumne jis hāl-e-pareśhāṇ se nikālā thā hameṅ
āsrā de ke mohabbat kā saṅbhālā thā hameṅ
sochte haiṅ ki vahī hāl dobārā kar leṅ
tum jo kah do to …
yūṇ bhī ab tumse mulāqāt nahīṅ hone kī
mil bhī jāo to koī bāt nahīṅ hone kī
ākhrī bār bas ab zikra tumhārā kar leṅ
tum jo kah do to …
ākhrī bār khyāloṅ meṅ bulā leṅ tumko
ākhrī bār kaleje se lagā leṅ tumko
aur phir apne taṛapne kā nazārā kar leṅ
tum jo kah do to …