Log kahte hain ke peelaa chaand hai sabse haseen

लोग कहते हैं के पीला चाँद है सबसे हसीन्
Work
Year
Language

ओ हो हो लोग कहते हैं के पीला चाँद है सबसे हसीन
मैं ये कहता हूँ सनम वो आपके जैसा नहीं
लोग कहते हैं …

आपकी नज़रों में जो प्यार की मस्ती है भरी
सारी दुनिया में नहीं देखी ऐसी बेखुदी
लोग कहते हैं के पहला जाम है सबसे हसीन
मैं ये कहती हूँ …

आपसे मिल के मेरी आँखें तो जन्नत पा गईं
आप क्‌या आए मेरे दिल में सौ बहारें आ गईं
लोग कहते हैं …

सारी दुनिया छोड़ के हम आपके हो जाएंगे
आपका कांधा मिल गया तो चैन से सो जाएंगे
लोग कहते हैं …

o ho ho log kahte haiṅ ke pīlā chāṇd hai sabse hasīn
maiṅ ye kahtā hūṇ sanam vo āpke jaisā nahīṅ
log kahte haiṅ …

āpkī nazroṅ meṅ jo pyār kī mastī hai bharī
sārī duniyā meṅ nahīṅ dekhī aisī bekhudī
log kahte haiṅ ke pahlā jām hai sabse hasīn
maiṅ ye kahtī hūṇ …

āpse mil ke merī āṇkheṅ to jannat pā gaīṅ
āp k‌yā āe mere dil meṅ sau bahāreṅ ā gaīṅ
log kahte haiṅ …

sārī duniyā chhoṛ ke ham āpke ho jāeṅge
āpkā kāṅdhā mil gayā to chain se so jāeṅge
log kahte haiṅ …