लो प्यार की हो गयी जीत
बलम हम तेरे हो गये
हम तुझ से लगा कर प्रीत
नयी दुनियाँ में खो गये
नैनों ने तेरे साजन
मन को लुभा के छोड़ा
दिल पे किया वो जादू
अपना बना के छोड़ा
मेरे दिल में खुशी का रंग
होंठों पे खुशी के गीत
लो प्यार की हो गयी जीत …
अरमान भरे दो दिल हैं
दुनियाँ पे है जवानी
तेरी क़सम ओ साजन
रुत है बड़ी सुहानी
ओऽ
रहें मिल के सदा हम तुम
यूँही जाये उमरिया बीत
लो प्यार की हो गयी जीत …
lo pyār kī ho gayī jīt
balam ham tere ho gaye
ham tujh se lagā kar prīt
nayī duniyāṇ meṅ kho gaye
nainoṅ ne tere sājan
man ko lubhā ke chhoṛā
dil pe kiyā vo jādū
apnā banā ke chhoṛā
mere dil meṅ khuśhī kā raṅg
hoṅṭhoṅ pe khuśhī ke gīt
lo pyār kī ho gayī jīt …
armān bhare do dil haiṅ
duniyāṇ pe hai javānī
terī qasam o sājan
rut hai baṛī suhānī
o'
raheṅ mil ke sadā ham tum
yūṇhī jāye umriyā bīt
lo pyār kī ho gayī jīt …