लिखे जो खत तुझे, वो तेरी याद में
लिखे जो ख़त तुझे
वो तेरी याद में
हज़ारों रंग के
नज़ारे बन गए
सवेरा जब हुआ
तो फूल बन गए
जो रात आई तो
सितारे बन गए
कोई नगमा कहीं गूँजा, कहा दिल ने के तू आई
कहीं चटकी कली कोई, मैं ये समझा तू शरमाई
कोई ख़ुशबू कहीं बिख़री, लगा ये ज़ुल्फ़ लहराई
फ़िज़ा रंगीं अदा रंगीं, ये इठलाना ये शरमाना
ये अंगड़ाई ये तनहाई, ये तरसा कर चले जाना
बना दे ना कहीं मुझको, जवां जादू ये दीवाना
जहाँ तू है वहाँ मैं हूँ, मेरे दिल की तू धड़कन है
मुसाफ़िर मैं तू मंज़िल है, मैं प्यासा हूँ तू सावन है
मेरी दुनिया ये नज़रें हैं, मेरी जन्नत ये दामन है
likhe jo khat tujhe
vo terī yād meṅ
hazāroṅ raṅg ke
nazāre ban gae
saverā jab huā
to phūl ban gae
jo rāt āī to
sitāre ban gae
koī nagmā kahīṅ gūṇjā, kahā dil ne ke tū āī
kahīṅ chaṭkī kalī koī, maiṅ ye samjhā tū śharmāī
koī khuśhbū kahīṅ bikhrī, lagā ye zulf lahrāī
fizā raṅgīṅ adā raṅgīṅ, ye iṭhlānā ye śharmānā
ye aṅgaṛāī ye tanhāī, ye tarsā kar chale jānā
banā de nā kahīṅ mujhko, javāṅ jādū ye dīvānā
jahāṇ tū hai vahāṇ maiṅ hūṇ, mere dil kī tū dhaṛkan hai
musāfir maiṅ tū maṅzil hai, maiṅ pyāsā hūṇ tū sāvan hai
merī duniyā ye nazreṅ haiṅ, merī jannat ye dāman hai