ले जा उसकी दुआएँ ओ जो तेरा हो न सका
ले जा उसकी दुआएँ ओ जो तेरा हो न सका
अपनी जाती बहारों से गले मिल के रो न सका
किन अदाओं से तेरी सवारी चली
जैसे गुलशन से बाद-ए-बहारी चली
ख़ून-ए-अरमाँ की मेंहन्दी रचाए हुए
बन के दुल्हन मुहब्बत हमारी चली
ले जा उसकी दुआएँ …
मेरा ग़म दिल में ले जा निशानी मेरी
अब किसी से न कहना कहानी मेरी
मुझपे गुज़री सो गुज़री मेरा ग़म न कर
तेरी उल्फ़त के सदके जवानी मेरी
ले जा उसकी दुआएँ …
दिल की गलियाँ न अब याद आएँ तुझे
छू के गुज़रें न ग़म की हवाएँ तुझे
मेरा क्या मैं अगर ख़ाक़ भी हो गया
मेरी मिट्टी भी देगी दुआएँ तुझे
ले जा उसकी दुआएँ …
le jā uskī duāeṇ o jo terā ho na sakā
apnī jātī bahāroṅ se gale mil ke ro na sakā
kin adāoṅ se terī savārī chalī
jaise gulaśhan se bād-e-bahārī chalī
khūn-e-armāṇ kī meṅhandī rachāe hue
ban ke dulhan muhabbat hamārī chalī
le jā uskī duāeṇ …
merā ġham dil meṅ le jā niśhānī merī
ab kisī se na kahnā kahānī merī
mujhpe guzrī so guzrī merā ġham na kar
terī ulfat ke sadke javānī merī
le jā uskī duāeṇ …
dil kī galiyāṇ na ab yād āeṇ tujhe
chhū ke guzreṅ na ġham kī havāeṇ tujhe
merā kyā maiṅ agar khāq bhī ho gayā
merī miṭṭī bhī degī duāeṇ tujhe
le jā uskī duāeṇ …