ले चला जिधर यह दिल निकल पड़े
ले चला जिधर यह दिल निकल पड़े
हम चलें जिधर ज़माना चल पड़े
जो साथ वक़्त के चला वो मर्द है
जो रह गया वो रास्ते की गर्द है
ले चला जिधर …
सुबह-शाम काम ही काम है
यही तो है नसीब जिसका नाम है
तदबीर किए जाओ तक़दीर बदल जाएगी
आज ना सही तो कल सुहानी घड़ी आएगी
ले चला जिधर …
मोती भी मिले तो तुम ना भीख लो
हाथों से कमा के जीना सीख लो
मुट्ठी में तुम्हारी छुपा हुआ जहान है
मिट्टी सोना हो तुम्हारे हाथों में वो जान है
ले चला जिधर …
ओ जीने वाले ज़िन्दगी का राग सुन
आराम है हराम ये आवाज़ सुन
ये राज़ तूने जाना तो ज़िन्दगानी बन गई
वरना जीने-मरने की यूँ कहानी बन गई
ले चला जिधर …
le chalā jidhar yah dil nikal paṛe
ham chaleṅ jidhar zamānā chal paṛe
jo sāth vaqt ke chalā vo mard hai
jo rah gayā vo rāste kī gard hai
le chalā jidhar …
subah-śhām kām hī kām hai
yahī to hai nasīb jiskā nām hai
tadbīr kie jāo taqdīr badal jāegī
āj nā sahī to kal suhānī ghaṛī āegī
le chalā jidhar …
motī bhī mile to tum nā bhīkh lo
hāthoṅ se kamā ke jīnā sīkh lo
muṭṭhī meṅ tumhārī chhupā huā jahān hai
miṭṭī sonā ho tumhāre hāthoṅ meṅ vo jān hai
le chalā jidhar …
o jīne vāle zindgī kā rāg sun
ārām hai harām ye āvāz sun
ye rāz tūne jānā to zindgānī ban gaī
varnā jīne-marne kī yūṇ kahānī ban gaī
le chalā jidhar …