Le aaee phir kahaan par

ले आई फिर कहाँ पर्
Work
Year
Language

ले आई फिर कहाँ पर, क़िस्मत हमें कहाँ से -2
ये तो वोही जगह है, गुज़रे थे हम जहाँ से
ले आई फिर कहाँ पर

मजबूर कर रही है, फिर गर्दिश-ए-ज़माना -2
हम छेड़ दें वहीं से, गुज़रा हुआ फ़साना
लेकिन कोई बता दे, भूले थे हम कहाँ से
ये तो वोही जगह है, गुज़रे थे हम जहाँ से
ले आई फिर कहाँ पर

तेरी ही अंजुमन में, ये इंतेज़ार तेरा -2
तेरे बग़ैर साथी, जश्न-ए-बहार तेरा
ये कौन सी अदा है, पूछेंगे आस्मान से
ये तो वोही जगह है, गुज़रे थे हम जहाँ से
ले आई फिर कहाँ पर

महफ़िल में आपकी हम, कुछ और तो न लाए -2
नग़मात में सजाकर, जज़बात लेके आए
याद आएंगे बहुत हम, जाएंगे जब यहाँ से
ये तो वोही जगह है, गुज़रे थे हम जहाँ से

ले आई फिर कहाँ पर, क़िस्मत हमें कहाँ से -2
ये तो वोही जगह है, गुज़रे थे हम जहाँ से
ले आई फिर कहाँ पर्

le āī phir kahāṇ par, qismat hameṅ kahāṇ se -2
ye to vohī jagah hai, guzre the ham jahāṇ se
le āī phir kahāṇ par

majbūr kar rahī hai, phir gardiśh-e-zamānā -2
ham chheṛ deṅ vahīṅ se, guzrā huā fasānā
lekin koī batā de, bhūle the ham kahāṇ se
ye to vohī jagah hai, guzre the ham jahāṇ se
le āī phir kahāṇ par

terī hī aṅjuman meṅ, ye iṅtezār terā -2
tere baġhair sāthī, jaśhn-e-bahār terā
ye kaun sī adā hai, pūchheṅge āsmān se
ye to vohī jagah hai, guzre the ham jahāṇ se
le āī phir kahāṇ par

mahafil meṅ āpkī ham, kuchh aur to na lāe -2
naġhmāt meṅ sajākar, jazbāt leke āe
yād āeṅge bahut ham, jāeṅge jab yahāṇ se
ye to vohī jagah hai, guzre the ham jahāṇ se

le āī phir kahāṇ par, qismat hameṅ kahāṇ se -2
ye to vohī jagah hai, guzre the ham jahāṇ se
le āī phir kahāṇ par