Larkee tumhaaree kunvaaree rah jaatee

लड़की तुम्हारी कुंवारी रह जाती
Work
Year
Language

किशोर: लड़की तुम्हारी कुंवारी रह जाती
कि मानो हमारा एहसान
कि लड़के ने हाँ कर दी

आशा: लड़का तुम्हारा कुंवारा रह जाता
कि मानो हमारा एहसान
कि लड़की ने हाँ कर दी

आशा: ओ लड़के के दोस्तो
पहले तुम ये काम करो
लड़की लेने आए हो
झुक कर हमको सलाम करो

किशोर: लड़की की सहेलियों
हम जो ज़िद पर आएंगे
लड़की लेने आए हैं
तुम को भी ले जाएंगे

आशा: ग़ुसा ये सारा का सारा रह जाता
कि मानो हमारा एहसान
कि लड़की ने हाँ कर दी

किशोर: हम कब मानने वाले थे
जाने कैसे मान गए
लड़की जदूगरनी है
हम्जान गए पहचान गए

आशा: लड़के ने सौ ख़त लिखे
तब हम ने इक़रार किया
लड़की को इस शादी पर
मुश्किल से तय्यार किया

किशोर: सारी की सारी तय्यारी रह जाती
कि मानो हमारा एहसान
कि लड़के ने हाँ कर दी

chorus: कि मानो हमारा एहसान कि लड़की ने हाँ कर दी
कि मानो हमारा एहसान कि लड़के ने हाँ कर दी

kiśhor: laṛkī tumhārī kuṅvārī rah jātī
ki māno hamārā ehsān
ki laṛke ne hāṇ kar dī

āśhā: laṛkā tumhārā kuṅvārā rah jātā
ki māno hamārā ehsān
ki laṛkī ne hāṇ kar dī

āśhā: o laṛke ke dosto
pahle tum ye kām karo
laṛkī lene āe ho
jhuk kar hamko salām karo

kiśhor: laṛkī kī saheliyoṅ
ham jo zid par āeṅge
laṛkī lene āe haiṅ
tum ko bhī le jāeṅge

āśhā: ġhusā ye sārā kā sārā rah jātā
ki māno hamārā ehsān
ki laṛkī ne hāṇ kar dī

kiśhor: ham kab mānne vāle the
jāne kaise mān gae
laṛkī jadūgarnī hai
hamjān gae pahchān gae

āśhā: laṛke ne sau khat likhe
tab ham ne iqrār kiyā
laṛkī ko is śhādī par
muśhkil se tayyār kiyā

kiśhor: sārī kī sārī tayyārī rah jātī
ki māno hamārā ehsān
ki laṛke ne hāṇ kar dī

chorus: ki māno hamārā ehsān ki laṛkī ne hāṇ kar dī
ki māno hamārā ehsān ki laṛke ne hāṇ kar dī