Laree aankh se aankh mohabbat ho gaee

लड़ी आँख से आँख मोहब्बत हो गई
Year
Language

लड़ी आँख से आँख मोहब्बत हो गई
पड़ा गाल पे हाथ हजामत हो गई

बाबू जी के गोरे गाल हाय-हाय-हाय देखो तो हो गए लाल
जल गई हांडी गली न दाल बैठे रह गए बाँकेलाल
लगा तमाचा ज़ोर से अजी अच्छी दावत हो गई
लड़ी आँख से …

ऐसा छूटा एक पटाखा बड़े ज़ोर का हुआ धमाका
कहने वाले सच कह गए प्यार है बड़ा लड़ाका
बड़ों-बड़ों की प्यार के हाथों अजी हजामत हो गई
लड़ी आँख से …

न जान न पहचान अजी मैं आपका मेहमान
दिल का खेल नहीं दिलवालों इतना तो आसान
दुनिया को दिल देने की यूँ ही आदत हो गई
लड़ी आँख से …

laṛī āṇkh se āṇkh mohabbat ho gaī
paṛā gāl pe hāth hajāmat ho gaī

bābū jī ke gore gāl hāy-hāy-hāy dekho to ho gae lāl
jal gaī hāṅḍī galī na dāl baiṭhe rah gae bāṇkelāl
lagā tamāchā zor se ajī achchhī dāvat ho gaī
laṛī āṇkh se …

aisā chhūṭā ek paṭākhā baṛe zor kā huā dhamākā
kahne vāle sach kah gae pyār hai baṛā laṛākā
baṛoṅ-baṛoṅ kī pyār ke hāthoṅ ajī hajāmat ho gaī
laṛī āṇkh se …

na jān na pahchān ajī maiṅ āpkā mehmān
dil kā khel nahīṅ dilvāloṅ itnā to āsān
duniyā ko dil dene kī yūṇ hī ādat ho gaī
laṛī āṇkh se …