Lagan tose laagee balmaa

लगन तोसे लागी बलमा
Year
Language

लगन तोसे लागी बलमा -2

धरे दिल पे हाथ
तारों के साथ
सारी रैन जागी बलमा
लगन तोसे लागी बलमा -2

( चमक-चमक कर डूबे तारे
इक-इक कर के सारे ) -2
घटते-घटते घट गई बाती
फीके पड़े उजियारे
चलते-चलते थक गया चन्दा
थके न प्यार के मारे
लगन तोसे लागी बलमा -2

( नीन्द की मा थी (?) दुनिया सारी
सपनों में थी खोई ) -2
रुकी-रुकी थीं मस्त हवायें
लहर-लहर थी सोई
मैं निन्दिया से दूर रही क्‌यूँ
ये न जाने कोई
लगन तोसे लागी बलमा -2

( चान्द ने कितना मुझसे पूछा
बात कोई तो होगी ) -2
किसके कारन जोग लिया है
कौन है तेरा जोगी
मैं बस मुँह से इतना बोली
प्रीत की हूँ मैं रोगी
लगन तोसे लागी बलमा -4

धरे दिल पे हाथ
तारों के साथ
सारी रैन जागी बलमा
लगन तोसे लागी बलमा -2

lagan tose lāgī balmā -2

dhare dil pe hāth
tāroṅ ke sāth
sārī rain jāgī balmā
lagan tose lāgī balmā -2

( chamak-chamak kar ḍūbe tāre
ik-ik kar ke sāre ) -2
ghaṭte-ghaṭte ghaṭ gaī bātī
phīke paṛe ujiyāre
chalte-chalte thak gayā chandā
thake na pyār ke māre
lagan tose lāgī balmā -2

( nīnd kī mā thī (?) duniyā sārī
sapnoṅ meṅ thī khoī ) -2
rukī-rukī thīṅ mast havāyeṅ
lahar-lahar thī soī
maiṅ nindiyā se dūr rahī k‌yūṇ
ye na jāne koī
lagan tose lāgī balmā -2

( chānd ne kitnā mujhse pūchhā
bāt koī to hogī ) -2
kiske kāran jog liyā hai
kaun hai terā jogī
maiṅ bas muṇh se itnā bolī
prīt kī hūṇ maiṅ rogī
lagan tose lāgī balmā -4

dhare dil pe hāth
tāroṅ ke sāth
sārī rain jāgī balmā
lagan tose lāgī balmā -2