Lagan more man kee balam naheen jaane

लगन मोरे मन की बलम नहीं जाने
Work
Year
Language

लगन मोरे मन की बलम नहीं जाने -2
बलम नहीं जाने सजन नहीं जाने
लगन मोरे मन की बलम नहीं जाने

लाज की मारी मैं तो मुँह से ना बोलूँ
मुँह से ना बोलूँ
भेद किसी से कभी दिल के न खोलूँ
दिल के न खोलूँ
ठेस जिया पे लागे -2
छुप-छुप रो लूँ -2
तड़प बिरहन की बलम नहीं जाने
बलम नहीं जाने सजन नहीं जाने
लगन मोरे मन की बलम नहीं जाने

डूब न जायें कहीं आशा के तारे
आशा के तारे
नैन चुरा के हाय सैयाँ हमारे
सैयाँ हमारे
नेहा लगाने गये -2
सौतन द्वारे -2
कदर मेरे धन की बलम नहीं जाने
बलम नहीं जाने सजन नहीं जाने
लगन मोरे मन की बलम नहीं जाने

lagan more man kī balam nahīṅ jāne -2
balam nahīṅ jāne sajan nahīṅ jāne
lagan more man kī balam nahīṅ jāne

lāj kī mārī maiṅ to muṇh se nā bolūṇ
muṇh se nā bolūṇ
bhed kisī se kabhī dil ke na kholūṇ
dil ke na kholūṇ
ṭhes jiyā pe lāge -2
chhup-chhup ro lūṇ -2
taṛap birahan kī balam nahīṅ jāne
balam nahīṅ jāne sajan nahīṅ jāne
lagan more man kī balam nahīṅ jāne

ḍūb na jāyeṅ kahīṅ āśhā ke tāre
āśhā ke tāre
nain churā ke hāy saiyāṇ hamāre
saiyāṇ hamāre
nehā lagāne gaye -2
sautan dvāre -2
kadar mere dhan kī balam nahīṅ jāne
balam nahīṅ jāne sajan nahīṅ jāne
lagan more man kī balam nahīṅ jāne