Laakhon taare aasmaan men, ek magar dhoonde naa milaa

लाखों तारे आसमान में, एक मगर ढूँडे ना मिला
Year
Language

लाखों तारे आसमान में, एक मगर ढूँढे ना मिला
देखके दुनिया की दीवाली, दिल मेरा चुपचाप जला
दिल मेरा चुपचाप जला …

क़िस्मत का है नाम मगर, काम है ये दुनिया वालों का
फूँक दिया है चमन हमारे ख़्वाबों और खयालों का
जी करता है खुद ही घोंट दें, अपने अरमानों का गला
देखके दुनिया की दीवाली …

सौ-सौ सदियों से लम्बी ये ग़म की रात नहीं ढलती
इस अंधियारे के आगे अब ऐ दिल एक नहीं चलती
हंसते ही लुट गई चाँदनी, और उठते ही चाँद ढला
देखके दुनिया की दीवाली …

मौत है बेहतर इस हालत से, नाम है जिसका मजबूरी
कौन मुसाफ़िर तय कर पाया, दिल से दिल की ये दूरी
कांटों ही कांटों से गुज़रा, जो राही इस राह चला
देखके दुनिया की दीवाली …

lākhoṅ tāre āsmān meṅ, ek magar ḍhūṇḍhe nā milā
dekhke duniyā kī dīvālī, dil merā chupchāp jalā
dil merā chupchāp jalā …

qismat kā hai nām magar, kām hai ye duniyā vāloṅ kā
phūṇk diyā hai chaman hamāre khvāboṅ aur khayāloṅ kā
jī kartā hai khud hī ghoṅṭ deṅ, apne armānoṅ kā galā
dekhke duniyā kī dīvālī …

sau-sau sadiyoṅ se lambī ye ġham kī rāt nahīṅ ḍhaltī
is aṅdhiyāre ke āge ab ai dil ek nahīṅ chaltī
haṅste hī luṭ gaī chāṇdnī, aur uṭhte hī chāṇd ḍhalā
dekhke duniyā kī dīvālī …

maut hai behtar is hālat se, nām hai jiskā majbūrī
kaun musāfir tay kar pāyā, dil se dil kī ye dūrī
kāṅṭoṅ hī kāṅṭoṅ se guzrā, jo rāhī is rāh chalā
dekhke duniyā kī dīvālī …