Laagee chhoote naa ab to sanm

लागी छूटे ना अब तो सनम
Year
Language

लागी छूटे ना, अब तो सनम
चाहे जाये जिया, तेरी कसम

तुझको पुकारे, बनके दीवाना, न माने रे जिया
प्यार किया तो कर के निभाना, सुनो जी रसिया
प्यार किया तो प्यार किया, तेरी कसम

दूर हूँ फिर भी दिल के करीब निशाना है तेरा
सोच ले फिर से, एक ग़रीब दीवाना है तेरा
सोच लिया जी सोच लिया, तेरी कसम

जब से लड़ी है तुमसे निगाह तड़प रहा दिल
देखके चलना, प्यार की राह बड़ी है मुश्किल
देख लिया जी देख लिया, तेरी कसम

lāgī chhūṭe nā, ab to sanam
chāhe jāye jiyā, terī kasam

tujhko pukāre, banke dīvānā, na māne re jiyā
pyār kiyā to kar ke nibhānā, suno jī rasiyā
pyār kiyā to pyār kiyā, terī kasam

dūr hūṇ phir bhī dil ke karīb niśhānā hai terā
soch le phir se, ek ġharīb dīvānā hai terā
soch liyā jī soch liyā, terī kasam

jab se laṛī hai tumse nigāh taṛap rahā dil
dekhke chalnā, pyār kī rāh baṛī hai muśhkil
dekh liyā jī dekh liyā, terī kasm