Kyoon ham tum mile kyoon gul hain khile

क्‌यूं हम तुम मिले क्‌यूं गुल हैं खिले
Work
Year
Language

क्‌यूं हम तुम मिले क्‌यूं गुल हैं खिले
क्‌यूं महकी फ़िज़ा क्‌यूं महकी हवा
क्‌यूं छाया नशा क्‌यूं ये सब हुआ
क्‌यूं दो दिल मुहब्बत में दीवाने से हो गए हैं बता

क्‌या होने को है क्‌या खोने को है
क्‌या मौसम है ये क्‌या आलम है ये
क्‌या अब हम करें क्‌या कुछ ना कहें
क्‌या दुनिया की आँखों से छुप छुप के बस यूं ही मिलते रहें
क्‌यूं हम तुम मिले …

कैसे कहूं मैं हाल-ए-दिल कैसे कहूं आ मुझसे मिल
कैसे कहूं कहो प्यार है कैसे कहूं इकरार है
कब पास आओगी कब अपनाओगे
कब बहकाओगे कब होगा मिलन
कब झूमेंगे तन कब गायेंगे मन
कब आएंगी ऐसी बहारें कि महकेगा दिल का चमन
क्‌यूं हम तुम मिले …

कितने हसीं दिन रात हैं कितने हसीं जज़्बात हैं
कितनी हसीं है आरज़ू कितनी हसीं लगती है तू
किसको है पता किसको है खबर
किस दिल में सज़ा किस अरमां का घर
किस दिल में बुना किस दिल में बसा
किस मुहब्बत में देखे हुए इक हसीं ख्वाब का इक नगर
क्‌यूं हम तुम मिले …

k‌yūṅ ham tum mile k‌yūṅ gul haiṅ khile
k‌yūṅ mahkī fizā k‌yūṅ mahkī havā
k‌yūṅ chhāyā naśhā k‌yūṅ ye sab huā
k‌yūṅ do dil muhabbat meṅ dīvāne se ho gae haiṅ batā

k‌yā hone ko hai k‌yā khone ko hai
k‌yā mausam hai ye k‌yā ālam hai ye
k‌yā ab ham kareṅ k‌yā kuchh nā kaheṅ
k‌yā duniyā kī āṇkhoṅ se chhup chhup ke bas yūṅ hī milte raheṅ
k‌yūṅ ham tum mile …

kaise kahūṅ maiṅ hāl-e-dil kaise kahūṅ ā mujhse mil
kaise kahūṅ kaho pyār hai kaise kahūṅ ikrār hai
kab pās āogī kab apnāoge
kab bahkāoge kab hogā milan
kab jhūmeṅge tan kab gāyeṅge man
kab āeṅgī aisī bahāreṅ ki mahkegā dil kā chaman
k‌yūṅ ham tum mile …

kitne hasīṅ din rāt haiṅ kitne hasīṅ jazbāt haiṅ
kitnī hasīṅ hai ārazū kitnī hasīṅ lagtī hai tū
kisko hai patā kisko hai khabar
kis dil meṅ sazā kis armāṅ kā ghar
kis dil meṅ bunā kis dil meṅ basā
kis muhabbat meṅ dekhe hue ik hasīṅ khvāb kā ik nagar
k‌yūṅ ham tum mile …