Kyoon chaltee hai pavan ... naa tum jaano naa ham

क्‌यूं चलती है पवन ... ना तुम जानो ना हम्
Year
Language

क्‌यूं चलती है पवन क्‌यूं झूमें है गगन
क्‌यूं मचलता है मन ना तुम जानो ना हम

क्‌यूं आती है बहार क्‌यूं लुटता है क़रार
क्‌यूं होता है प्यार
ना तुम जानो ना हम …

ये मदहोशियां ये तनहाईयां
तसव्वुर में हैं किसकी परछाईयां
ये भीगा समां उमंगें जवां
मुझे इश्क़ ले जा रहा है कहां
क्‌यूं ग़ुम है हर दिशा
क्‌यूं होता है नशा
क्‌यूं आता है मज़ा
ना तुम जानो ना हम …

धड़कता भी है तड़पता भी है
ये दिल क्‌यूं अचानक बहकता भी है
महकता भी है चहकता भी है
ये दिल क्‌या वफ़ा को समझाता भी है
क्‌यूं मिलती है नज़र
क्‌यूं होता है असर
क्‌यूं होती है सहर
ना तुम जानो ना हम …

k‌yūṅ chaltī hai pavan k‌yūṅ jhūmeṅ hai gagan
k‌yūṅ machaltā hai man nā tum jāno nā ham

k‌yūṅ ātī hai bahār k‌yūṅ luṭtā hai qarār
k‌yūṅ hotā hai pyār
nā tum jāno nā ham …

ye madhośhiyāṅ ye tanhāīyāṅ
tasavvur meṅ haiṅ kiskī parchhāīyāṅ
ye bhīgā samāṅ umaṅgeṅ javāṅ
mujhe iśhq le jā rahā hai kahāṅ
k‌yūṅ ġhum hai har diśhā
k‌yūṅ hotā hai naśhā
k‌yūṅ ātā hai mazā
nā tum jāno nā ham …

dhaṛaktā bhī hai taṛaptā bhī hai
ye dil k‌yūṅ achānak bahaktā bhī hai
mahaktā bhī hai chahaktā bhī hai
ye dil k‌yā vafā ko samjhātā bhī hai
k‌yūṅ miltī hai nazar
k‌yūṅ hotā hai asar
k‌yūṅ hotī hai sahar
nā tum jāno nā ham …