क्यों चलती है पवन, क्यों झुमें है गगन
क्यों चलती है पवन, क्यों झूमें है गगन
क्यों मचलता है मन, ना तुम जानो ना हम
क्यों आती है बहार, क्यों लूटता है करार
क्यों होता है प्यार, ना तुम जानो ना हम
ये मदहोशियाँ, ये तनहाईयाँ
तसव्वुर में हैं किस की परछाईयाँ
ये भीगा समा, उमंगे जवां
मुझे इश्क ले जा रहा है कहाँ
क्यों गुम है हर दिशा, क्यों होता है नशा
क्यों आता है मज़ा, ना तुम जानो ना हम
धड़कता भी है, तड़पता भी है
ये दिल क्यों अचानक बहकता भी है
महकता भी है, चहकता भी है
ये दिल क्या वफ़ा को समझता भी है
क्यों मिलती है नज़र, क्यों होता है असर
क्यों होती है सहर, ना तुम जानो ना हम
kyoṅ chaltī hai pavan, kyoṅ jhūmeṅ hai gagan
kyoṅ machaltā hai man, nā tum jāno nā ham
kyoṅ ātī hai bahār, kyoṅ lūṭtā hai karār
kyoṅ hotā hai pyār, nā tum jāno nā ham
ye madhośhiyāṇ, ye tanhāīyāṇ
tasavvur meṅ haiṅ kis kī parchhāīyāṇ
ye bhīgā samā, umaṅge javāṅ
mujhe iśhk le jā rahā hai kahāṇ
kyoṅ gum hai har diśhā, kyoṅ hotā hai naśhā
kyoṅ ātā hai mazā, nā tum jāno nā ham
dhaṛaktā bhī hai, taṛaptā bhī hai
ye dil kyoṅ achānak bahaktā bhī hai
mahaktā bhī hai, chahaktā bhī hai
ye dil kyā vafā ko samajhtā bhī hai
kyoṅ miltī hai nazar, kyoṅ hotā hai asar
kyoṅ hotī hai sahar, nā tum jāno nā ham