क्या मिलिये ऐसे लोगों से जिनकी फितरत छुपी रहे
क्या मिलिये ऐसे लोगों से जिनकी फितरत छुपी रहे
नकली चेहरा सामने आये, असली सुरत छुपी रहे
खुद से भी जो खुद को छुपाये क्या उनसे पहचान करे
क्या उनके दामन से लिपटे, क्या उनका अरमान करे
जिनकी आधी नियत उभरे, आधी नियत छुपी रहे
नकली चेहरा सामने आये
दिलदारी का ढोंग रचाकर जाल बिछाये बातों का
जीते जी का रिश्ता कहकर सुख ढूंढे कुछ रातों का
रूह की हसरत लब पर आये, जिस्म की हसरत छुपी रहे
नकली चेहरा सामने आये
जिनके जुल्म से दुखी हैं जनता हर बस्ती और गाँव में
दयाधर्म की बात करे वो बैठ के सजी सभाओं में
दान का चर्चा घर घर पहुचे, लूट की दौलत छुपी रहे
नकली चेहरा सामने आये
देखे इन नकली चेहरों की कब तक जयजयकार चले
उजले कपड़ों की तह में कब तक काला संसार चले
कब तक लोगों की नजरों से छुपी हक़ीकत छुपी रहे
नकली चेहरा सामने आये
kyā miliye aise logoṅ se jinkī phitarat chhupī rahe
naklī chehrā sāmne āye, aslī surat chhupī rahe
khud se bhī jo khud ko chhupāye kyā unse pahchān kare
kyā unke dāman se lipṭe, kyā unkā armān kare
jinkī ādhī niyat ubhre, ādhī niyat chhupī rahe
naklī chehrā sāmne āye
dildārī kā ḍhoṅg rachākar jāl bichhāye bātoṅ kā
jīte jī kā riśhtā kahkar sukh ḍhūṅḍhe kuchh rātoṅ kā
rūh kī hasrat lab par āye, jism kī hasrat chhupī rahe
naklī chehrā sāmne āye
jinke julm se dukhī haiṅ jantā har bastī aur gāṇv meṅ
dayādharm kī bāt kare vo baiṭh ke sajī sabhāoṅ meṅ
dān kā charchā ghar ghar pahuche, lūṭ kī daulat chhupī rahe
naklī chehrā sāmne āye
dekhe in naklī chehroṅ kī kab tak jayjaykār chale
ujle kapaṛoṅ kī tah meṅ kab tak kālā saṅsār chale
kab tak logoṅ kī najroṅ se chhupī haqīkat chhupī rahe
naklī chehrā sāmne āye