K‌yaa likhoon kaise likhoon likhne ke bhee qaabil naheen

क्‌या लिखूँ कैसे लिखूँ लिखने के भी क़ाबिल नहीं
Year
Language

क्‌या लिखूँ कैसे लिखूँ लिखने के भी क़ाबिल नहीं
यूँ समझ लीजे कि मैं पत्थर हूँ मुझ में दिल नहीं
क्‌या लिखूँ कैसे लिखूँ …

हर क़दम पर आप ने समझा सही मैं ने ग़लत
अब सफ़ायी पेष कर के भी कोई हासिल नहीं
यूँ समझ लीजे कि मैं …

इस तरह बढ़ती गयी कुछ रास्ते की उलझने
सामने मंज़िल थी मैं कहती रही मंज़िल नहीं
क्‌या लिखूँ कैसे लिखूँ …

मैं ये मानूँ या न मानूँ दिल मेरा कहने लगा
अब मेरी नज़दीकियों में दूरियाँ शामिल नहीं
क्‌या लिखूँ कैसे लिखूँ …

k‌yā likhūṇ kaise likhūṇ likhne ke bhī qābil nahīṅ
yūṇ samajh līje ki maiṅ patthar hūṇ mujh meṅ dil nahīṅ
k‌yā likhūṇ kaise likhūṇ …

har qadam par āp ne samjhā sahī maiṅ ne ġhalat
ab safāyī peṣh kar ke bhī koī hāsil nahīṅ
yūṇ samajh līje ki maiṅ …

is tarah baṛhtī gayī kuchh rāste kī ulajhne
sāmne maṅzil thī maiṅ kahtī rahī maṅzil nahīṅ
k‌yā likhūṇ kaise likhūṇ …

maiṅ ye mānūṇ yā na mānūṇ dil merā kahne lagā
ab merī nazdīkiyoṅ meṅ dūriyāṇ śhāmil nahīṅ
k‌yā likhūṇ kaise likhūṇ …