K‌yaa k‌yaa na sahe ham ne sitam aap kee khaatir

क्‌या क्‌या न सहे हम ने सितम आप की खातिर्
Year
Language

तेरा चेहरा कँवल समझता हूँ
चाँदनी का बदल समझता हूँ
तेरी आँखें नहीं दो मिस्रें हैं
तेरी आँखें ग़ज़ल समजह्ता हूँ

तेरा चेहरा सुबह का सूरज है
तुझसे मिलने की आस रहती है
तेरे जलवे कहीं भी रोशन हो
रोशनी दिल के पास रहती है

क्‌या क्‌या न सहे हम ने सितम आप की खातिर
ये जान भी जायेगी सनम आप की खातिर

तड़पे हैं सदा अपनी क़सम आप की खातिर
निकलेगा किसी रोज़ ये दम आप की खातिर

इक आप जो मिल जायें तो मिल जाये खुदाई
मंज़ूर हैं दुनियाँ के अलम आप की खातिर

हम आप की तसवीर निगाहों में छुपाकर
जागा किये अक़्सर शब-ए-ग़म आप की खातिर

लोगों ने हमें आप का दीवाना बताया
ऐसे भी हुए हम पे करम आप की खातिर

हम राह-ए-वफ़ा से कभी पीछे न हटेंगे
सुन लीजिये मिट जायेंगे हम आप की खातिर्

terā chehrā kṇval samajhtā hūṇ
chāṇdnī kā badal samajhtā hūṇ
terī āṇkheṅ nahīṅ do misreṅ haiṅ
terī āṇkheṅ ġhazal samjahtā hūṇ

terā chehrā subah kā sūraj hai
tujhse milne kī ās rahtī hai
tere jalve kahīṅ bhī rośhan ho
rośhnī dil ke pās rahtī hai

k‌yā k‌yā na sahe ham ne sitam āp kī khātir
ye jān bhī jāyegī sanam āp kī khātir

taṛpe haiṅ sadā apnī qasam āp kī khātir
niklegā kisī roz ye dam āp kī khātir

ik āp jo mil jāyeṅ to mil jāye khudāī
maṅzūr haiṅ duniyāṇ ke alam āp kī khātir

ham āp kī tasvīr nigāhoṅ meṅ chhupākar
jāgā kiye aqsar śhab-e-ġham āp kī khātir

logoṅ ne hameṅ āp kā dīvānā batāyā
aise bhī hue ham pe karam āp kī khātir

ham rāh-e-vafā se kabhī pīchhe na haṭeṅge
sun lījiye miṭ jāyeṅge ham āp kī khātir