K‌yaa bataaoon mohabbat hai k‌yaa

क्‌या बताऊँ मोहब्बत है क्‌या
Work
Year
Language

ल: क्‌या बताऊँ मोहब्बत है क्‌या -4
सीने में रह-रह के दर्द उठ रहा है -2
मगर आ रहा है मज़ा
क्‌या बताऊँ …

मौसम तो हरदम बदलते रहे हैं -2
अरमान दिल के मचलते रहे हैं -2
क्‌या बात है छू के आँचल मेरा -2
भाग जाती है पागल हवा
क्‌या बताऊँ …
र: क्‌या बताऊँ मोहब्बत है क्‌या -2

पहले भी तूफ़ान आते रहे हैं
बस्ती दिलों की मिटाते रहे हैं-2
कैसा ये तूफ़ान आते ही जिसके -2
नया इक जहाँ बस गया
क्‌या बताऊँ …
ल: क्‌या बताऊँ …

पहले भी थे चाँद-तारे गगन में -2
लेकिन हमेशा अँधेरा था मन में -2
वो मुस्कराए तो मन के अँधेरे में -2
जैसे दिया जल उठा
क्‌या बताऊँ …

la: k‌yā batāūṇ mohabbat hai k‌yā -4
sīne meṅ rah-rah ke dard uṭh rahā hai -2
magar ā rahā hai mazā
k‌yā batāūṇ …

mausam to hardam badalte rahe haiṅ -2
armān dil ke machalte rahe haiṅ -2
k‌yā bāt hai chhū ke āṇchal merā -2
bhāg jātī hai pāgal havā
k‌yā batāūṇ …
ra: k‌yā batāūṇ mohabbat hai k‌yā -2

pahle bhī tūfān āte rahe haiṅ
bastī diloṅ kī miṭāte rahe haiṅ-2
kaisā ye tūfān āte hī jiske -2
nayā ik jahāṇ bas gayā
k‌yā batāūṇ …
la: k‌yā batāūṇ …

pahle bhī the chāṇd-tāre gagan meṅ -2
lekin hameśhā aṇdherā thā man meṅ -2
vo muskrāe to man ke aṇdhere meṅ -2
jaise diyā jal uṭhā
k‌yā batāūṇ …