Kudaa kare ke muhabbat men vo maqaam aaye

कुदा करे के मुहब्बत में वो मक़ाम आये
Work
Year
Language

ख़ुदा करे के मुहब्बत में वो मक़ाम आये
किसी का नाम लूँ लब पे तुम्हारा नाम आये

तुम्हारा प्यार मेरे गेसूओं की उलझन हो
तुम्हारे नाम से दिल का चराग़ रोशन हो
सहर नज़र से मिले ज़ुल्फ़ ले के शाम आये
किसी का नाम लूँ लब पे तुम्हारा नाम आये
ख़ुदा करे …

जहाँ तलक ये हसीं गुनगुनाती रात चले
नज़र नज़र से मिले दिल से दिल की बात चले
हमारे दिल की तड़प आज कुछ तो काम आये
किसी का नाम लूँ लब पे तुम्हारा नाम आये
ख़ुदा करे …

मेरे ख़यालों की तसवीर हू-ब-हू तुम हो
मेरे हुज़ूर निगाहों की आरज़ू तुम हो
नज़र उठे मेरी जानिब कोई सलाम आये
किसी का नाम लूँ लब पे तुम्हारा नाम आये
ख़ुदा करे …

khudā kare ke muhabbat meṅ vo maqām āye
kisī kā nām lūṇ lab pe tumhārā nām āye

tumhārā pyār mere gesūoṅ kī uljhan ho
tumhāre nām se dil kā charāġh rośhan ho
sahar nazar se mile zulf le ke śhām āye
kisī kā nām lūṇ lab pe tumhārā nām āye
khudā kare …

jahāṇ talak ye hasīṅ gungunātī rāt chale
nazar nazar se mile dil se dil kī bāt chale
hamāre dil kī taṛap āj kuchh to kām āye
kisī kā nām lūṇ lab pe tumhārā nām āye
khudā kare …

mere khayāloṅ kī tasvīr hū-ba-hū tum ho
mere huzūr nigāhoṅ kī ārazū tum ho
nazar uṭhe merī jānib koī salām āye
kisī kā nām lūṇ lab pe tumhārā nām āye
khudā kare …